Sunday, 11 February 2018

Meri Maa

Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga
Tujo naraz ho khush ham se Khuda kya hoga

Tune Aulad pe kya kuchh nahin qurban kiya
Apni nindein hamein di Apna wo sukh chain diya
Log karte the agar Tujse shikayat Meri
Jaan par khel ke karti thi hifazat Meri
Jab koi Mujko sataye to bigad jati thi
Meri khatir kabhi jagde pe utar jati thi
Meri sanson mein to mojud hai khushbu ban kar
Meri raton mein chamakti hai Tu jugnu ban kar
Tera dil todke beton ka bhala kya hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

Yaad aati hein abhi tak Muje baatein Teri
Mere rone se chhalak jati thi aankhein Teri
Tu Muje rota hua dekhke ro deti thi
Apna sukh chain Mere waste kho deti thi
Fir duaein Muje de de mein sanwar jaunga
Tu yunhi ruthi rahegi to mein mar jaunga
Hoga ahesan gale bhar ke lagale Mujko
Apni mamta bhari jannat mein chhupa le Mujko
Yahi Ek rasta aur iske siwa kya hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

Teri azmat ko kiya barh ke farishton ne tawaf
Aur qadam meine uthaye Teri marzi ke khilaf 
Lekin tujhse kabhi kuch nahi hai chupaya mene
tu is baat ka to mujhpar fakhar karle maa, 
tere bacche ne kabhi kuch nahi chupaya hai maa
Kitna badbakht wo Farmane Khuda bhul gaya
Mein jawan hote hi ahesan Tera bhul gaya
Janta hun ke khatakar gunahgar hun Mein
Tu khafa hai to musibat mein giraftar hun Mein
Maaf kar de Muje fir barh ke sahara dede
Maa Meri dubti kashti ko kinara dede
Warna Muj jaisa gunahgar koi kya hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

No comments:

Post a Comment